zāhir ko aaj Tāltā huuñ
bātin tirā khañgāltā huuñ
ai āsmān suraḳh-rū ho
apnā lahū uchhāltā huuñ
ā.īna-dār tū hī ban jā
maiñ ḳhud pe ḳhaak Dāltā huuñ
aa dekh zindagī ki kaise
saa.e meñ jism Dhāltā huuñ
hotā hai sard jab añdherā
sūraj tirā nikāltā huuñ
tū apne āstīñ se nālāñ
ik maiñ ki ḳhud ko pāltā huuñ
'parvez' kaun hai ki jis se
maiñ boltā huuñ chāltā huuñ