bistar par bechain nirāshā ke silvaT silvaT jaage
tanhā.ī kī rām-duhā.ī ham karvaT karvaT jaage
koī saaya koī ḳhushbū koī sadā koī dastak
ummīdoñ kī sej sajā.e ham aahaT aahaT jaage
piit ke mīThe madhur manohar bol liye aatā hai koī
sāñjh kā Tiila bolā khiḌkī darvāze chaukhaT jaage
bhor huī to dhīre dhīre gītoñ ke saa.e ubhre
gāgar gāgar kañgan khanke so.e hue panghaT jaage
bansī kī mahkār uḌī to 'rahmānī' jī ne dekhā
līlā-darshī āñkheñ chamkīñ ghūñghaT ghūñghaT paT jaage