Parwez Rahmani

tere sath chehre hain mere sang aaina

Parwez Rahmani

Ranchi, Jharkhand, India

1952
tere saath chehre haiñ mere sañg aa.ina
dekh aaj hotā hai kis pe tañg ā.īna
bol ḳhud-shanāsī phir kis tarah se mumkin ho
pesh kar rahā ho jab saat rañg ā.īna
ḳhud-parastiyoñ ne bhī ḳhuub raushnī baḳhshī
ban gayā añdheroñ meñ ek sañg ā.īna
laḳht-laḳht āvāzeñ fard fard pahchāneñ
shor shor ḳhāmoshī vaj.h-e-jañg ā.īna
tere shahr kā qissa mere shahar kī gāthā
saaf saaf dhuñdhlāhaT zañg zañg ā.īna
koī sā bhī paikar ho is ko Dar nahīñ lagtā
kyuuñ ki apnī fitrat se hai dabañg ā.īna
mushtahar huiiñ jab bhī ujlī ḳhvāhisheñ 'parvez'
kholtā nazar aayā añg añg ā.īna
Top Urdushayar.com