tab se vafā kā tazkira gūñge kā ḳhvāb ho gayā
jab se maiñ dil-ba-dar huā ḳhāna-ḳharāb ho gayā
paa.e nigāh aa lage jab lab-e-manzil-e-talab
āñkheñ pur-āb ho ga.iiñ dariyā sarāb ho gayā
apne jahāz le ke tab aa.e jahāz-rān kab
merā jazīra-e-vajūd jab tah-e-āb ho gayā
chashm-e-vazīr-e-mumlikat us pe huī jo mehrbāñ
tab se vo nañg-e-shahr bhī ālī-janāb ho gayā
haa.e mirī jabīn se sajde ke daaġh dhul ga.e
sar pe paḌā huā thā jo saaya sahāb ho gayā
jab se hamāre haath se chhīnā butoñ ne iḳhtiyār
apnā sanam-kadoñ meñ rahnā azaab ho gayā