the zamīñ par na āsmān meñ the
ham duāoñ ke sā.ebān meñ the
guzre lamhāt se chalo pūchheñ
ham kahāñ aur kis jahān meñ the
kis tarah karte ham ġhazal-rānī
ik tavālat bharī takān meñ the
chāhte tum kahīñ se paḌh lete
ham to har ek dāstān meñ the
karte kirdār apnī marzī ke
pyaar ke qisse har zabān meñ the
ishq rusvā.iyoñ se thā mahfūz
āb-pāre jo nūr-dān meñ the
karte kis kis se āshnā.ī ham
is qadar chehre aks-dān meñ the