Jigar Barelvi

aah hum hain aur shikasta-paiyan

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
aah ham haiñ aur shikasta-pā.iyāñ
ab kahāñ vo bādiya-paimā.iyāñ
bahr-e-ġham hai aur dil-e-ḳhalvat-pasand
baada hī baada hai aur gahrā.iyāñ
ġhaflateñ ab sū-e-manzil le chalīñ
hotī jaatī haiñ ḳhajil dānā.iyāñ
mere talvoñ ke lahū kā faiz hai
ye kahāñ thiiñ dasht meñ ra.anā.iyāñ
farq kyā hai zindagī o maut meñ
uf mohabbat kī qayāmat-zā.iyāñ
phir na ubhrā jo koī Duubā yahāñ
uf-re bahr-e-ishq kī gahrā.iyāñ
josh-e-tūfāñ hai ki maujoñ kā ḳharosh
ab liye hai god meñ gahrā.iyāñ
le uḌā nashsha ḳhayāl-e-yār kā
aa ga.iiñ ham ko falak-paimā.iyāñ
donoñ aalam Duub kar gum ho ga.e
allāh allāh qalb kī gahrā.iyāñ
sar se ūñchā ho gayā paanī 'jigar'
muntazir thiiñ bahr kī gahrā.iyāñ
Top Urdushayar.com