husn hai is baar puure jalva-sāmānī ke saath
aa.ine TuuTe haiñ pahlī baar hairānī ke saath
aur hī chehra nikāleñ surḳhiyāñ dhānī ke saath
ab ke sāvan kaash barse aag bhī paanī ke saath
kab mire sar kī zarūrat pesh aa jaa.e use
kūcha kūcha phir rahā huuñ dushman-e-jānī ke saath
raat aatī hai to tanhā.ī lipaT kar jaane kyoñ
ro diyā kartī hai mere ghar kī vīrānī ke saath
muskurāne kā hunar sīkhā hai jab se dosto
mushkiloñ kā hal nikal aayā hai āsānī ke saath
mere hoñToñ par sisaktī ḳhāmushī ko dekh kar
har parinda pesh aatā hai ḳhush-ilhānī ke saath
ġham kī duniyā bhī bil-āḳhir luT ga.ī ḳhushiyoñ ke baad
hādisa ye bhī huā 'parvez'-rahmānī ke saath