Parwez Rahmani

chand la-KHitab aankhen chand be-laqab chehre

Parwez Rahmani

Ranchi, Jharkhand, India

1952
chand lā-ḳhitāb āñkheñ chand be-laqab chehre
hasratoñ ke ā.īne be-hasab-nasab chehre
paare sābit-o-sālim ā.inoñ meñ haiñ jab ki
hote jaate haiñ āḳhir masḳh kis sabab chehre
pāniyoñ ne bil-āḳhir resha resha kar Daalā
aks-reziyāñ kab tak karte jāñ-ba-lab chehre
Duub jab ga.iiñ āñkheñ saath saath sūraj ke
nikle sair karne ko ghāTiyoñ se tab chehre
aañkh par na rakhte the kal kisī ko lekin ab
mausamoñ ke aage haiñ kaise bā-adab chehre
kaun ḳhush-nigāhī kā de subūt 'rahmānī'
ā.ina-gazīda haiñ aaj sab ke sab chehre
Top Urdushayar.com