Parwez Rahmani

andheron se agar aaina-samani hui hogi

Parwez Rahmani

Ranchi, Jharkhand, India

1952
añdheroñ se agar ā.īna-sāmānī huī hogī
baḌī mushkil se koī shakl nūrānī huī hogī
charāġhoñ ke pate milte nahīñ shab-gāh-e-hastī meñ
havā-e-shām tujh se koī nādānī huī hogī
nahīñ mujh sā koī tanhā zamāne meñ huā hogā
na ābāde meñ is sūrat bayābānī huī hogī
nazar ke sāmne phailā huā dashtāb sā kyā hai
yaqīnan āb-zāroñ meñ shatarbānī huī hogī
paroñ par āsmānī vasvase lipTe rahe hoñge
parindoñ se tabhī parvāz gardānī huī hogī
phir apnā hissa lene aaj ḳhuddārī nahīñ aa.ī
zamīñ-dāroñ se baTvāre meñ man-mānī huī hogī
shikār-e-sher-shor-añgez un ke haath aa jaa.e
isī zid meñ harīfoñ se ġhazal-rānī huī hogī
yuuñ barfānī havāoñ se uqaab uljhe agar hoñge
to shiryānoñ meñ bahtī aag bhī paanī huī hogī
nikāle hoñge jab afkār ne sheroñ meñ gul-būTe
tabhī koī ġhazal 'parvez' rahmānī huī hogī
Top Urdushayar.com