jal ga.iiñ āñkheñ sabhī ḳhush-rañg chehre uḌ ga.e
aisī garmī thī ki ā.īnoñ ke paare uḌ ga.e
shaam tak bhī jab koī niklā na daana Dālne
aañkh bhar bhar kar muñDeroñ se parinde uḌ ga.e
ḳhushbuoñ ke rath se utre baal pochhā aur phir
titliyoñ ke dosh par kafūrī lamhe uḌ ga.e
be-ḳhayālī mujh ko merī soch tak le aa.ī aur
chauñkte hī mere kāñdhe se farishte uḌ ga.e
sab ke sab kal harf harf almāriyoñ meñ band the
kis tarah āḳhir kitāboñ se navishte uḌ ga.e
aa gayā ḳhadshāt kī bāhoñ meñ yādoñ kā badan
ik dhamāka aur ḳhvāboñ ke parḳhache uḌ ga.e
thī baḌī saffāk mere ahd kī gūñgī havā
bas yahī ki gardanoñ se saare rishte uḌ ga.e