Parwez Rahmani

sab ko KHilaf mat kar

Parwez Rahmani

Ranchi, Jharkhand, India

1952
sab ko ḳhilāf mat kar
ā.īna saaf mat kar
qad yuuñ baḌā na hogā
lāf-o-gazāf mat kar
rahne de jo hai jaisā
koī ḳhilāf mat kar
jo kah rahā hai sun le
bas e'tirāf mat kar
jab jāntā nahīñ kuchh
to iḳhtilāf mat kar
sachchā.ī sāmne hai
ab inhirāf mat kar
sab ho chukā hai sābit
ab laam qaaf mat kar
mat bojh zehn par rakh
dil ke ḳhilāf mat kar
Top Urdushayar.com