kar ga.ī gul-tāb rañgoñ kī farāvānī hameñ
nuur sā rañg de gayā shauq-e-ġhazal-rānī hameñ
dāman-e-dil be-zamīrī se bachā paa.e na ham
lag gayā āḳhir ko shahr-e-ġhair kā paanī hameñ
muft meñ baiThe biThā.e saarī duniyā dekh lī
mil na paa.ī thī kabhī aisī tan-āsānī hameñ
ḳhud-pasandī dekhī terī ḳhud-sarī bhī dekh lī
aur kyā dikhlā.egā ai dushman-e-jānī hameñ
terī marzī ho to chakh leñ apnī marzī kā maza
zindagī kar lene de thoḌī sī man-mānī hameñ
zindagī par band ho kar rah ga.e haiñ rāste
kis jagah le aa.ī hai is dil kī man-mānī hameñ
bāvajūd is ke parāyoñ ke na dil ThanDe hue
be-tarah mahñgī paḌī apnoñ kī qurbānī hameñ
yuuñ to ghar vaale bulāyā karte haiñ abdul-hasīb
vaise duniyā kahtī hai 'parvez'-rahmānī hameñ