andar bāhar uupar nīche ḳhvāb hī ḳhvāb
daa.eñ baa.eñ aage pīchhe ḳhvāb hī ḳhvāb
ḳhushbū shabnam rañg kī duniyā ek fareb
ġhunche gul buuTe bāġhīche ḳhvāb hī ḳhvāb
āñkheñ chehre chāñd sitāre raat hī raat
darvāze dīvār darīche ḳhvāb hī ḳhvāb
hasrat Tahnī Tahnī niiñd meñ Duubī thī
bikhre the peḌoñ ke pīchhe ḳhvāb hī ḳhvāb
kaash ki zinda hote ehsāsāt sabhī
dekhā karte āñkheñ mīche ḳhvāb hī ḳhvāb
ummīdeñ mehdī ke talve chaaT ga.iiñ
dikhlāte kab tak ġhālīche ḳhvāb hī ḳhvāb
ḳhvāhish ḳhvāhish jo chāho chun lo 'parvez'
chhoḌ chale ham apne pīchhe ḳhvāb hī ḳhvāb