garm yādoñ kī ridā sard rutoñ kī āvāz
bhīgī āñkhoñ kī navā saat suroñ kī āvāz
tirchhe sūraj ne sunī sāya-darāzī kī duā
aur ūñchī huī kotāh-qadoñ kī āvāz
tab kahīñ jā ke huiiñ phir mirī jhilmil palkeñ
reza reza huī jab shīsha-garoñ kī āvāz
mere hoñToñ pe ḳhamoshī kā na katba likhnā
ghaT ke rah jā.egī āvāz-garoñ kī āvāz
thī qabīle meñ sahar-band nikaltī kaise
dā.erātī hī rahī ḳhīra-suroñ kī āvāz