Parwez Rahmani

har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo

Parwez Rahmani

Ranchi, Jharkhand, India

1952
har koī kyuuñ chup baiThā hai sāhab jī kuchh to bolo
ḳhāmoshī kā kyā qissa hai sāhab jī kuchh to bolo
aaj qalam kā roza hai kyā yā kāġhaz taqve se hai
qāsid kyuuñ fursat likhtā hai sāhab jī kuchh to bolo
añgnā.ī ke peḌ pe panchhī zikr meñ kyuuñ masrūf nahīñ
ye sannāTā sā kaisā hai sāhab jī kuchh to bolo
majbūrī se muḳhtārī tak duurī se nazdīkī tak
āḳhir ye kaisā parda hai sāhab jī kuchh to bolo
kis kis kā muñh band karoge kis ko kis ko rokoge
burā milan ke beach meñ kyā hai sāhab jī kuchh to bolo
jo darvāza lāchārī ke naam pe mujh par band rahā
kyā ab bhī vo band paḌā hai sāhab jī kuchh to bolo
is duniyā se us duniyā tak rusvā kar dene ke ba.ad
ab logoñ kā kyā kahnā hai sāhab jī kuchh to bolo
kal tak tum ko jaan se pyārā dil kā sahārā lagtā thā
ab 'rahmānī' kyā lagtā hai sāhab jī kuchh to bolo
Top Urdushayar.com