agarche ā.ina-e-dil meñ hai qayām us kā
na koī shakl hai us kī na koī naam us kā
vahī ḳhudā kabhī milvā.egā hameñ us se
jo intizār karātā hai sub.h o shaam us kā
hamāre saath nahīñ jā sakā thā vo lekin
rahā ḳhayāl siyāhat meñ gaam gaam us kā
ḳhudā ko pyaar hai apne har ek bande se
safed-fām hai us kā siyāh-fām us kā
kamā ke dete haiñ jo maal vo amīroñ ko
hisāb kyuuñ nahīñ lete kabhī avaam us kā
hamārā farz hai be-lāg raa.e kā iz.hār
koī durust kahe yā ġhalat ye kaam us kā
kahāñ hai shaiḳh ko sudh-budh mazīd piine kī
nasha utaar ga.e tiin chaar jaam us kā
zabān-e-dil se koī shā.irī sunātā hai
to sāma.īn bhulāte nahīñ kalām us kā
'shu.ūr' sab se alag baiThtā hai mahfil meñ
isī se aap samajh lījiye maqām us kā