sāmāñ to behad hai dil meñ
sab kuchh kār-āmad hai dil meñ
aap kabhī tashrīf to laa.eñ
ik aalī masnad hai dil meñ
bā-e-bismillāh kholegī
jo qufl-e-abjad hai dil meñ
ishq kī ausat kam nahīñ hotī
aaj bhī sad-fī-sad hai dil meñ
koī bahs na koī hujjat
tū be-radd-o-kad hai dil meñ
taktā rahtā huuñ sahrā se
ek harā gumbad hai dil meñ
ishq ho jaise jaan kī baazī
aisī shadd-o-mad hai dil meñ
us ghar kī vus.at kyā kahnā
tum jaisā ḳhush-qad hai dil meñ
ye jannat bhī hai dozaḳh bhī
nek hai dil meñ bad hai dil meñ
be-lausī se aa.e ho sach-much
yā koī maqsad hai dil meñ
sar pe zarūrī kaam paḌe haiñ
aur aamad aamad hai dil meñ
ham jaate haiñ fātiha paḌhne
purkhoñ kā mash.had hai dil meñ
kyuuñ khiñchte haiñ 'shu.ūr' aap āḳhir
kyā ham se kuchh kad hai dil meñ