bigḌeñ vo ham se ki ham un se sab meñ ik lazzat hotī hai
jiine meñ baḌā lutf aatā hai jab dil se mohabbat hotī hai
ham kis se pūchheñ tum hī kaho kuchh kaam ye jiinā aayā bhī
ham loTte haiñ añgāroñ par kuchh tum ko masarrat hotī hai
dozaḳh ko yahī jannat kar de jannat ko yahī dozaḳh kar de
ham tujh ko batā.eñ kyā hamdam kyā chiiz mohabbat hotī hai
ham bāda-o-jām ke parde meñ kuchh rāz-e-junūñ kah jaate haiñ
jab ishq kā nashsha chaḌhtā hai maḳhmūr tabī.at hotī hai
ham marte haiñ yā jiite haiñ tum shaad raho ābād raho
kyā tum se kaheñ kyā hotā hai jab hijr kī saa.at hotī hai
ab is meñ hamārī kyā hai ḳhatā majbūr se haiñ lāchār se haiñ
dil hai to mohabbat karte haiñ tum ho to mohabbat hotī hai
parvarda-e-sāhil kyā jaane āsūda-e-manzil kyā samjhe
jo duur haiñ sāhil-o-manzil se un kī kyā hālat hotī hai
jab josh-e-masarrat hotā hai ham aap se kho.e jaate haiñ
hastī meñ bharam aa jaatā hai jab ġham kī shiddat hotī hai
maiñ husn kā ek pujārī huuñ hai shā.irī husn kī ik devī
jo fikr-e-suḳhan bhī hotī hai ham-rañg-e-ibādat hotī hai