Anwar Shuoor

aise dekha hai ki dekha hi na ho

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
aise dekhā hai ki dekhā hī na ho
jaise mujh ko tirī parvā hī na ho
ba.az ghar shahr meñ aise dekhe
jaise un meñ koī rahtā hī na ho
mujh se katrā ke bhalā kyuuñ jaatā
shāyad us ne mujhe dekhā hī na ho
ye samajhtā hai har aane vaalā
maiñ na aa.uuñ to tamāshā hī na ho
yuuñ bhaTakne pe huuñ qaane jaise
rāstoñ meñ koī dariyā hī na ho
raat har chaap pe aatā thā ḳhayāl
uTh ke dekhūñ koī aayā hī na ho
kaise chhoḌūñ dar-o-dīvār apne
kyā ḳhabar lauT ke aanā hī na ho
haiñ sabhī ġhair to apnā maskan
shahr kyuuñ ho koī sahrā hī na ho
yuuñ to kahne ko bahut kuchh hai 'shu.ūr'
kyā kahūñ jab koī suntā hī na ho
Top Urdushayar.com