Anwar Shuoor

aawara hun rain-basera koi nahin mera

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
āvāra huuñ rain-baserā koī nahīñ merā
galī galī kartā huuñ pherā koī nahīñ merā
terī aas pe jiitā thā maiñ vo bhī ḳhatm huī
ab duniyā meñ kaun hai merā koī nahīñ merā
tere bajā.e kaun thā merā pahle bhī phir bhī
jab se saath chhuTā hai terā koī nahīñ merā
jab bhī chāñd se chehre dekhe bhiig ga.iiñ palkeñ
phail gayā har samt añdherā koī nahīñ merā
ajab nahīñ koī lahr uThe jo paar lagā de naav
dard kī dhun meñ gaa.e machherā koī nahīñ merā
koī musāfir hī ruk jaa.e pal do pal ke liye
muddat se vīrān hai Derā koī nahīñ merā
maiñ ne qadr-e-tīrgī-e-shab ab pahchānī jab
guzar ga.ī shab huā saverā koī nahīñ merā
koī nahīñ hai jis ke hāthoñ zahr piyūñ mar jā.ūñ
biin bajā.e jaa.e saperā koī nahīñ merā
Top Urdushayar.com