bashārat ho ki ab mujh sā koī pāgal na aa.egā
ye daur-e-āḳhir-e-dīvāngī hai biit jā.egā
kisī kī zindagī zaa.e.a na hogī ab mohabbat meñ
koī dhokā na degā ab koī dhokā na khā.egā
na ab utregā qudsī koī insānoñ kī bastī par
na ab jañgal meñ charvāhā koī bheḌeñ charā.egā
giroh-e-ibn-e-ādam laakh bhaTke laakh sar paTke
ab is andar se koī rāsta bāhar na jā.egā
bashar ko dekh kar be-intihā afsos aatā hai
na ma.alūm is ḳharābātī ko kis din hosh aa.egā
miTā bhī de mujhe ab ai musavvir! tā-ba-kai āḳhir
bānegā bigāḌegā bigāḌegā bānegā
mohabbat bhī kahīñ ai dost! tardīdoñ se chhuptī hai
kise qaa.el karegā tū kise bāvar karā.egā
ġhanīmat jaan agar do bol bhī kānoñ meñ paḌ jaa.eñ
ki phir ye bolne vaalā na ro.egā na gā.egā
'shu.ūr' āḳhir use ham se ziyāda jānte ho tum?
bahut sīdhā sahī lekin tumheñ to bech khā.egā