burā bure ke alāva bhalā bhī hotā hai
har aadmī meñ koī dūsrā bhī hotā hai
tum apne des kī sauġhāt ho hamāre liye
ki husn tohfa-e-āb-o-havā bhī hotā hai
muqāble pe kamar-basta ham nahīñ hote
agar shikast kā ḳhatra zarā bhī hotā hai
tumhāre shahr meñ hai jī lagā huā varna
musāfiroñ ke liye rāsta bhī hotā hai
vo chehra ek tasavvur bhī hai haqīqat bhī
darīcha band bhī hotā hai vā bhī hotā hai
ham ai 'shu.ūr' akele kabhī nahīñ hote
hamāre saath hamārā ḳhudā bhī hotā hai