yādoñ ke baaġh se vo harā-pan nahīñ gayā
sāvan ke din chale ga.e sāvan nahīñ gayā
Thahrā thā ittifāq se vo dil meñ ek baar
phir chhoḌ kar kabhī ye nasheman nahīñ gayā
har gul meñ dekhtā ruḳh-e-lailā vo aañkh se
afsos qais dasht se gulshan nahīñ gayā
rakkhā nahīñ musavvir-e-fitrat ne mū-qalam
shah-pāra ban rahā hai abhī ban nahīñ gayā
maiñ ne ḳhushī se kī hai ye tanhā.ī iḳhtiyār
mujh par lagā ke vo koī qadġhan nahīñ gayā
thā va.ada shaam kā magar aa.e vo raat ko
maiñ bhī kivāḌ kholne fauran nahīñ gayā
dushman ko maiñ ne pyaar se raazī kiyā 'shu.ūr'
us ke muqāble ke liye tan nahīñ gayā