'shu.ūr' vaqt pe dil kī davā huī hotī
to aaj fikr na hotī shifā huī hotī
muravvatan bhī agar aap aa ga.e hote
tamāniyyat hameñ be-intihā huī hotī
na jaane kitne baras ho ga.e fuġhāñ karte
kabhī to dād-rasī ai ḳhudā huī hotī
na thā nasīb meñ dil kī murād bar aanā
to kaash sabr kī aadat atā huī hotī
hamārā haal tumhārī samajh meñ aa jaatā
agar kisī se mohabbat zarā huī hotī
ham apne-āp se rahte na be-ḳhabar to bhalā
hamārī sūrat-e-hālāt kyā huī hotī
'shu.ūr' aap kī aamad se laakh behtar thā
ġharīb-ḳhāne pe nāzil balā huī hotī