Anwar Shuoor

hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
havas balā kī mohabbat hameñ balā kī hai
kabhī butoñ kī ḳhushāmad kabhī ḳhudā kī hai
kisī ko chāhne vaale yahī to karte haiñ
baḌā kamāl kiyā hai agar vafā kī hai
guzar basar hai hamārī faqat qanā.at par
nasīb ne yahī daulat hameñ atā kī hai
tamām raat paḌī thī guzārne ke liye
chunāñche ḳhatm surāhī zarā zarā kī hai
sharāb se koī raġhbat nahīñ hai muhtasibo
hakīm ne hameñ tajvīz ye davā kī hai
zarā sī der ko aa.e the shaiḳh idhar lekin
yahīñ janāb ne maġhrib yahīñ ishā kī hai
tumhārā chehra-e-pur-nūr dekhtā huuñ to
yaqīn hī nahīñ aatā ki jism ḳhākī hai
mujhe aziiz na ho kyuuñ rijā.iyat apnī
ye ġham-sharīk mire daur-e-ibtilā kī hai
'shu.ūr' ḳhud ko zahīn aadmī samajhte haiñ
ye sādgī hai to vallāh intihā kī hai
Top Urdushayar.com