kaafī nahīñ ḳhutūt kisī baat ke liye
tashrīf lā.iyegā mulāqāt ke liye
duniyā meñ kyā kisī se kisī ko ġharaz nahīñ
har koī jī rahā hai faqat zaat ke liye
ham bārgāh-e-nāz meñ us be-niyāz kī
paidā kiye ga.e haiñ shikāyāt ke liye
haiñ pattharoñ kī zad pe tumhārī galī meñ ham
kyā aa.e the yahāñ isī barsāt ke liye
apnī taraf se kuchh bhī unhoñ ne nahīñ kahā
ham ne javāb sirf savālāt ke liye
raushan karo na shaam se pahle charāġh-e-jām
din ke liye ye chiiz hai yā raat ke liye
mahñgā.ī rāh-e-rāst pe le aa.ī khīñch kar
bachtī nahīñ raqam burī ādāt ke liye
karne ke kaam kyuuñ nahīñ karte 'shu.ūr' tum
kyā zindagī milī hai ḳhurāfāt ke liye