us bazm meñ kyā koī sune raa.e hamārī
ye baat ye auqāt kahāñ haa.e hamārī
ham chāhte kyā haiñ nahīñ ma.alūm kisī ko
kis tarah tabī.at koī bahlā.e hamārī
guzrī hai javānī baḌī be-rāh-ravī meñ
ai kaash za.īfī bhī guzar jaa.e hamārī
is shahr meñ rahnā hai bayābān meñ rahnā
sūrat nahīñ pahchānte ham-sā.e hamārī
ye ghar ye galī zehn meñ kar lījiye mahfūz
mumkin hai kabhī aap ko yaad aa.e hamārī