Anwar Shuoor

kuchh din to kar taawun ai KHush-sifat mujhse

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
kuchh din to kar ta.āvun ai ḳhush-sifāt mujh se
tanhā na ho sakegī tat.hīr-e-zāt mujh se
fariyād ai samā.at insāf ai farāsat
karte haiñ ahl-e-duniyā duniyā kī baat mujh se
hairān huuñ ki us tak kis kis jihat se pahuñchūñ
āvārgī-talab haiñ sad-hā jihāt mujh se
kyuuñ ai hayāt-e-rafta roke hue hai rasta
kyā chāhtī hai āḳhir ai be-sabāt mujh se
yūnān ke saḳhī to talḳhāb nazr kar deñ
paanī aziiz rakkheñ ahl-e-furāt mujh se
gardish meñ haiñ sitāre hai koī jo pukāre
aa ai ġharīb-e-kūcha le jā zakāt mujh se
vā hai darīcha-e-dil ik chīḳh ban ke dar aa
sargoshiyāñ kahāñ tak ai sard raat mujh se
Top Urdushayar.com