zahr kī chuTkī hī mil jaa.e barā.e dard-e-dil
kuchh na kuchh to chāhiye baabā davā-e-dard-e-dil
raat ko ārām se huuñ maiñ na din ko chain se
haa.e haa.e vahshat-e-dil haa.e haa.e dard-e-dil
dard-e-dil ne to hameñ behāl kar ke rakh diyā
kaash koī aur ġham hotā bajā.e dard-e-dil
us ne ham se ḳhairiyat pūchhī to ham chup ho ga.e
koī lafzoñ meñ bhalā kaise batā.e dard-e-dil
do balā.eñ aaj kal apnī sharīk-e-hāl haiñ
ik balā-e-dard-e-duniyā ik balā-e-dard-e-dil
zindagī meñ har tarah ke log milte haiñ 'shu.ūr'
āshnā-e-dard-e-dil nā-āshnā-e-dard-e-dil