vo gul-farosh kahāñ ab gulāb kis se luuñ
nahīñ rahā mirā saaqī sharāb kis se luuñ
tirī talāsh meñ is umr-e-musta.ār ke saal
jo rā.egāñ ga.e in kā hisāb kis se luuñ
hayāt ḳhud hai savāl aur ḳhud javāb apnā
savāl kis se karūñ maiñ javāb kis se luuñ
kisī ke naam jo mansūb abhī nahīñ kī thī
maiñ apnī khoī huī vo kitāb kis se luuñ
tumhāre ba.ad na dekhūñ tumhāre jaisoñ ko
to ye shabeñ ye umañgeñ ye ḳhvāb kis se luuñ
nasha kisī se bhī le luuñ 'shu.ūr' aaj magar
vo roz-e-abr-o-shab-e-mahtāb kis se luuñ