chaman meñ aap kī tarah gulāb ek bhī nahīñ
huzūr ek bhī nahīñ janāb ek bhī nahīñ
mubāhisoñ kā mā-hasal faqat ḳhalish faqat ḳhalal
savāl hī savāl haiñ javāb ek bhī nahīñ
idhar kisī se kuchh liyā idhar kisī ko de diyā
chunāñche vājib-ul-adā hisāb ek bhī nahīñ
kutub ke Dher meñ na ho sahīfa zikr-e-yār kā
to qābil-e-mutāli.a kitāb ek bhī nahīñ
qavī bhī hai za.iif bhī hamārā hāfiza 'shu.ūr'
maze tamām yaad haiñ azaab ek bhī nahīñ