akele kyā pas-e-dīvār-o-dar ga.e ham tum
sagān-e-ḳhufta ko hoshyār kar ga.e ham tum
qadam qadam pe ajab be-hayā nigāhoñ kā
hisār sā nazar aayā jidhar ga.e ham tum
guloñ ne ḳhuub pazīrā.ī kī ki bhūle se
kisī chaman meñ na bār-e-digar ga.e ham tum
umīd-e-vasl ke din kaT ga.e bhaTakne meñ
na hoTaloñ pe yaqīñ thā na ghar ga.e ham tum
havā-e-dahr ne sahmā rakhā thā kis darja
kivāḌ bhī kahīñ khaḌkā to Dar ga.e ham tum
falak kī dhun thī magar farsh par hamāre paañv
jame na the ki ḳhalā meñ bikhar ga.e ham tum
zahe ye himmat-e-parvāz bhī magar ab to
nasheb meñ ka.ī ziine utar ga.e ham tum