Anwar Shuoor

jo sunta hun kahunga main jo kahta hun sununga main

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
jo suntā huuñ kahūñgā maiñ jo kahtā huuñ sunūñgā maiñ
hamesha majlis-e-nutq-o-samā.at meñ rahūñgā maiñ
nahīñ hai talḳh-goī sheva-e-sanjīdgāñ lekin
mujhe vo gāliyāñ deñge to kyā chup saadh lūñgā maiñ
kam-az-kam ghar to apnā hai agar vīrān bhī hogā
to dahlīz o dar-o-dīvār se bāteñ karūñgā maiñ
yahī ehsās kaafī hai ki kyā thā aur ab kyā huuñ
mujhe bilkul nahīñ tashvīsh aage kyā banūñgā maiñ
mirī āñkhoñ kā sonā chāhe miTTī meñ bikhar jaa.e
añdherī raat terī maañg meñ afshāñ bharūñgā maiñ
husūl-e-āgahī ke vaqt kaash itnī ḳhabar hotī
ki ye vo aag hai jis aag meñ zinda jalūñgā maiñ
koī ik aadh to hogā mujhe jo raas aa jaa.e
bisāt-e-vaqt par haiñ jis qadar mohre chalūñgā maiñ
agar is martaba bhī aarzū puurī nahīñ hogī
to is ke ba.ad āḳhir kis bharose par jiyūñgā maiñ
yahī hogā kisī din Duub jā.ūñgā samundar meñ
tamannāoñ kī ḳhālī sīpiyāñ kab tak chunūñgā maiñ
Top Urdushayar.com