Anwar Shuoor

KHatm har achchha bura ho jaega

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
ḳhatm har achchhā burā ho jā.egā
ek din sab kuchh fanā ho jā.egā
kyā patā thā dekhnā us kī taraf
hadisā itnā baḌā ho jā.egā
muddatoñ se band darvāza koī
dastakeñ dene se vā ho jā.egā
hai abhī tak us ke aane kā yaqīn
jaise koī mo.ajiza ho jā.egā
muskurā kar dekh lete ho mujhe
is tarah kyā haq adā ho jā.egā
kaash ho jaao mire ham-rāh tum
varna koī dūsrā ho jā.egā
kal kā va.ada aur is bohrān meñ?
jaane kal duniyā meñ kyā ho jā.egā
rañg lā.egā shahīdoñ kā lahū
zulm jab had se sivā ho jā.egā
aap kā kuchh bhī na jā.egā 'shu.ūr'
ham ġharīboñ kā bhalā ho jā.egā
Top Urdushayar.com