un kī sūrat hameñ aa.ī thī pasand āñkhoñ se
aur phir ho ga.ī bālā-o-buland āñkhoñ se
koī zanjīr nahīñ tār-e-nazar se mazbūt
ham ne is chāñd pe Daalī hai kamand āñkhoñ se
Thahr saktī hai kahāñ us ruḳh-e-tābāñ pe nazar
dekh saktā hai use aadmī band āñkhoñ se
ham uThāte haiñ maza talḳhī o shīrīnī kā
mai piyāle se pilātā hai vo qand āñkhoñ se
baat karte ho to hotā hai zabāñ se sadma
dekhte ho to pahuñchtā hai gazand āñkhoñ se
har mulāqāt meñ hotī haiñ hamāre mābain
chand bāteñ lab-e-guftār se chand āñkhoñ se
ishq meñ hausla-mandī bhī zarūrī hai 'shu.ūr'
dekhiye us kī taraf hausla-mand āñkhoñ se