Anwar Shuoor

farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
farishtoñ se bhī achchhā maiñ burā hone se pahle thā
vo mujh se intihā.ī ḳhush ḳhafā hone se pahle thā
kiyā karte the bāteñ zindagī-bhar saath dene kī
magar ye hausla ham meñ judā hone se pahle thā
haqīqat se ḳhayāl achchhā hai bedārī se ḳhvāb achchhā
tasavvur meñ vo kaisā sāmnā hone se pahle thā
agar ma.adūm ko maujūd kahne meñ ta.ammul hai
to jo kuchh bhī yahāñ hai aaj kyā hone se pahle thā
kisī bichhḌe hue kā lauT aanā ġhair-mumkin hai
mujhe bhī ye gumāñ ik tajraba hone se pahle thā
'shu.ūr' is se hameñ kyā intihā ke ba.ad kyā hogā
bahut hogā to vo jo ibtidā hone se pahle thā
Top Urdushayar.com