Anwar Shuoor

nahin milte shuur aansu bahate

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
nahīñ milte 'shu.ūr' aañsū bahāte
nazar aate haiñ hañste-muskurāte
vo ghanToñ baiThte haiñ dostoñ meñ
magar dekhā akele aate jaate
nikal jaate haiñ nā-mālūm jānib
vo gird-o-pesh se nazreñ bachāte
jise kahte haiñ log ummul-ḳhabā.is
rahe un ke usī se rishte-nāte
vo kyā jinnāt se karte haiñ bāteñ
unheñ paayā gayā hai budbudāte
uThā paa.e na apnā bojh bhī vo
bhalā kyā dūsroñ ke kaam aate
ayaañ thā be-ḳhudī se haal un kā
koī kyā pūchhtā vo kyā batāte
batā lete haiñ mausam har tarah kā
anādil bostāñ meñ rote gaate
'shu.ūr' aap aa.e haiñ milne sar-e-shām
hamāre paas hotī to pilāte
Top Urdushayar.com