Anwar Shuoor

shak nahin hai hamein us but ke KHuda hone mein

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
shak nahīñ hai hameñ us but ke ḳhudā hone meñ
chain hī chain hai rāzī-ba-razā hone meñ
kaun chhup chhup ke mohabbat nahīñ kartā āḳhir
kyā burā.ī hai yahī khel khulā hone meñ
bāt-be-bāt unheñ aadat hai ḳhafā hone kī
koī saanī nahīñ rakhte vo ḳhafā hone meñ
zinda rahne se baḌā jurm bhalā kyā hogā
tāham ik umr guzārī hai sazā hone meñ
pahle duniyā meñ vafā koī sifat hotī thī
sharm aatī hai ab arbāb-e-vafā hone meñ
mas.ala ban ga.ī chhoTī sī burā.ī ai 'shu.ūr'
kyā takalluf hai bhalā aur burā hone meñ
Top Urdushayar.com