rahī raat un se mulāqāt kam
mudārāt ḳhāsī huī baat kam
tirī yaad itnā baḌā kaam hai
ki mālūm hote haiñ din raat kam
kahīñ dil bahaltā nahīñ shahr meñ
na bāzār kam haiñ na bāġhāt kam
mohabbat meñ hotī haiñ insān ko
shikasteñ ziyāda futūhāt kam
sambhāle hue hai ye shoba bhī dil
ab āñkhoñ se hotī hai barsāt kam
dimāġhoñ kī parvāz mālūm hai
savālāt vāfir javābāt kam
bahut soñ se achchhā huuñ phir bhī 'shu.ūr'
digar-gūñ nahīñ mere hālāt kam