Anwar Shuoor

main apne-ap se pichha chhuDa ke

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943

maiñ apne-āp se pīchhā chhuḌā ke

nikal jā.ūñ kahīñ rassī tuḌā ke

qadam āḳhir uThānā paḌegā

nahīñ to gir paḌūñgā Dagmagā ke

kahāñ hai ab vo mashq āvārgī

sambhal jā.ūñgā lekin laḌkhaḌā ke

kisī ke dar pe jaane natīja

maiñ dekh aayā huuñ us ke dar pe ke

basar is tarah duniyā meñ goyā

guzārī jail meñ chakkī chalā ke

likhī hai bandagī meñ sar-bulandī

milo har aadmī se sar jhukā ke

kisī ke kaam aao zindagī meñ

ḳhushī hogī kisī ke kaam aa ke

Top Urdushayar.com