kaT chukī thī ye nazar sab se bahut din pahle
maiñ ne dekhā thā tujhe ab se bahut din pahle
aaj tak gosh-bar-āvāz huuñ sannāTe meñ
harf utrā thā tire lab se bahut din pahle
maiñ ne mastī meñ ye pūchhā thā ki hastī kyā hai
raftgān-e-mai-o-mashrab se bahut din pahle
maslak-e-ishq faqīroñ ne kiyā thā āġhāz
ai mablaġh tire maz.hab se bahut din pahle
phir kisī mai-kada-e-husn meñ vaisī na milī
jaisī pī thī kisī ḳhush-lab se bahut din pahle
ek shaḳhs aur milā thā mujhe tere jaisā
tū na thā zehn meñ jab, jab se bahut din pahle
hazrat-e-shaiḳh kā ik rind se kaisā rishta
haañ mile the kisī matlab se bahut din pahle
kyā tirī sādgī-e-tab.a na.ī shai hai 'shu.ūr'
log chalte the isī Dhab se bahut din pahle