Anwar Shuoor

jo jal uThi hai shabistan mein yaad si kya hai

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
jo jal uThī hai shabistāñ meñ yaad sī kyā hai
ye jhilmilāhaTeñ kyā haiñ ye raushnī kyā hai
kisī se tark-e-ta.alluq ke ba.ad bhī milnā
burā zarūr hai lekin kabhī kabhī kyā hai
ab apne haal pe ham dhyān hī nahīñ dete
na jaane be-ḳhabarī hai ki āgahī kyā hai
yahī savāl nahīñ hai faqat ki ham kyā haiñ
ye kā.enāt hai kyā aur zindagī kyā hai
hañsī jo dekh rahe ho hamāre hoñToñ par
zabān-e-hāl se ik chīḳh hai hañsī kyā hai
'shu.ūr' abhī se ye ḳhush-fahmiyāñ ye ummīdeñ
abhī to sirf mulāqāt hai abhī kyā hai
Top Urdushayar.com