sarguzisht apnī raqam karte rahe
aap kahte aur ham karte rahe
bazm-e-sāqī se uThāne kī hameñ
koshisheñ duniyā ke ġham karte rahe
sub.h-o-shām-o-roz-o-shab allāh se
terī bāteñ ai sanam karte rahe
zindagī bhartī rahī jām-e-sifāl
ham use pī pī ke kam karte rahe
Dālte aañsū kisī par kyā asar
beshtar dāman hī nam karte rahe
be-bas-o-majbūr kar detā hai ishq
ham gavārā har sitam karte rahe
hañs ke Tarḳhānā kabhī bhūle nahīñ
vo hamesha ye karam karte rahe