ye mat pūchho ki kaisā aadmī huuñ
karoge yaad, aisā aadmī huuñ
mirā nām-o-nasab kyā pūchhte ho!
zalīl-o-ḳhvār-o-rusvā aadmī huuñ
ta.āruf aur kyā is ke sivā ho
ki maiñ bhī aap jaisā aadmī huuñ
zamāne ke jhameloñ se mujhe kyā
mirī jaañ! maiñ tumhārā aadmī huuñ
chale aayā karo merī taraf bhii!
mohabbat karne vaalā aadmī huuñ
tavajjoh meñ kamī beshī na jaano
azīzo! maiñ akelā aadmī huuñ
guzārūñ ek jaisā vaqt kab tak
koī patthar huuñ maiñ yā aadmī huuñ
'shu.ūr' aa jaao mere sāth, lekin!
maiñ ik bhaTkā huā sā aadmī huuñ