kabhī koī ronā kabhī koī ronā
kabhī ek mātam kabhī ek mātam
na kyuuñ dil se bāteñ kareñ ham musalsal
yahī ek monis yahī ek hamdam
hameñ ḳhauf aatā hai ab dostī se
magar aap irshād kar deñ to sar ḳham
bhalā shaiḳh-sāhab hameñ kyuuñ pilā.eñ
baḌī mushkiloñ se huī hai farāham
use ġhaur se dekhnā chāhtā huuñ
zamāne kī gardish zarā ruk zarā tham
mirī tarah haukā nahīñ shaiḳh-jī ko
lihāzā vo ye shauq karte haiñ kam-kam
'shu.ūr' ik din pesh honā paḌegā
kahāñ tak bachoge azīz-e-mukarram