diip yādoñ ke dafīnoñ pe jalā kar so.e
ḳhud pe uftād na.ī roz uThā kar so.e
dil ke armān ka.ī ahl-e-suḳhan raat ga.e
ek gumnām udāsī ko sunā kar so.e
phir shab-e-hijr ke siine pe lagā.ī Thokar
sher do-chār na.e phir se banā kar so.e
mujh ko ik bahr-e-aziyyat kā havāla de kar
shab kahīñ vasl ke dariyā meñ nahā kar so.e
vo tirī haañ meñ sadā haañ hī milāne vaale
ḳhud pe ab daaġh munāfiq kā sajā kar so.e
kal ga.e raat javānī se rihā.ī māñgī
bachpane daur ko pahlū meñ liTā kar so.e
rabb-ul-arbāb kī jaarī hoñ atā.eñ mujh pe
mere ahbāb agar mujh ko duā kar so.e
din kisī yaad ke saa.e meñ guzārā lekin
raat ham dard ke qadmoñ meñ bichhā kar so.e
tere atrāf hī ghūme hai taḳhayyul merā
merī har ek ġhazal tujh ko sulā kar so.e
raat bhar niiñd se rahtī hai laḌā.ī merī
tū mire yaar agar mujh ko bhulā kar so.e
ishq to ḳhair 'ḳhalīl' ab bhī bulā.e lekin
kis meñ himmat hai shab-e-hijr manā kar so.e