Jigar Barelvi

gham sahte sahte muddat tak aisi bhi haalat hoti hai

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
ġham sahte sahte muddat tak aisī bhī hālat hotī hai
āñkhoñ meñ ashk umaDte haiñ rone se nafrat hotī hai
jab raat kā sannāTā hotā hai dil meñ ḳhalvat hotī hai
tum chāñdnī jaise chhiTkā do aisī kaifiyyat hotī hai
aalam par jaise chhā.e hoñ mahbūb kī god meñ aa.e hoñ
ab dil kī mohabbat meñ aksar aisī mahviyyat hotī hai
jab hasrat-o-armāñ miT jaa.eñ kuchh aas na ho kuchh yaas na ho
jab maut kī niiñd aa.e dil ko bedār mohabbat hotī hai
jab rañj zamāna detā hai ham maut ko dāvat dete haiñ
phir tum kyuuñ yaad aa jaate ho jiine ko tabī.at hotī hai
merāj-e-junūñ ke raste meñ aisā bhī maqām ik aatā hai
ham hosh meñ hote haiñ lekin apne se bhī vahshat hotī hai
be-dād kī bhī us zālim ko vo pyārī adā.eñ aatī haiñ
mar mar ke jiye jaane ko 'jigar' afsos tabī.at hotī hai
Top Urdushayar.com