Anwar Shuoor

mere sine mein kuchh zer-o-zabar hai

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
mere siine meñ kuchh zer-o-zabar hai
chaman meñ ġhāliban vaqt-e-sahar hai
chalā jaatā huuñ aksar shahar vaalo
bayābāñ meñ bhī merā ek ghar hai
jo chehre par nazar aatī hai mere
merī rañgat nahīñ gard-e-safar hai
koī tikTā nahīñ dil meñ ziyāda
ye goyā ghar nahīñ hai rahguzar hai
nazar aate haiñ bas a.amāl sab ko
mere ahvāl par kis kī nazar hai
agar 'anvar-shu.ūr' aisā kare to
nazar-andāz kar denā bashar hai
Top Urdushayar.com