Anwar Shuoor

anwar-shuur din mein kahin raat mein kahin

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
'anvar-shu.ūr' din meñ kahīñ raat meñ kahīñ
rahtā hai ḳhvār shahr-e-ḳharābāt meñ kahīñ
aa.e hazār baar bulāne ke ba.ad aur
gum ho ga.e vo apne ḳhayālāt meñ kahīñ
mumkin hai bāda-ḳhāne ga.e hoñ janāb-e-shaiḳh
ghar se nikal ga.e haiñ vo barsāt meñ kahīñ
ham muntazir haiñ aur bhulā.e hue haiñ vo
kyā guftugū huī thī mulāqāt meñ kahīñ
milte haiñ roz baar meñ ham asr-tā-ishā
jaate nahīñ vahāñ se in auqāt meñ kahīñ
go saḳht nāgavār hai ghar baiThnā hameñ
kyā jaa.eñ is ḳharābī-e-hālāt meñ kahīñ
Top Urdushayar.com