TuuTā tilism-e-vaqt to kyā dekhtā huuñ maiñ
ab tak usī jagah pe akelā khaḌā huuñ maiñ
ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash meñ huuñ
aatā nahīñ samajh meñ bahut sochtā huuñ maiñ
maiñ ahl to nahīñ huuñ ki dekhe koī magar
duniyā mujhe bhī dekh tirā aa.inā huuñ maiñ
akasr ġhurūr-e-fikr jab utrā dimāġh se
maiñ dañg rah gayā ki ye kyā likh gayā huuñ maiñ
merā kalām vah.i nahīñ hai to phir mujhe
ye zo.am kyuuñ na ho ki ḳhud apnā ḳhudā huuñ maiñ
mujh se nahīñ use mire fardā se hai umiid
manzil se koī aur faqat rāsta huuñ maiñ
kyā fā.eda mujhe jo palaT kar javāb duuñ
apne liye kahāñ huuñ burā yā bhalā huuñ maiñ
ġhāfil ab aur kyā huuñ kisī se ki umr bhar
āvārgī kī god meñ sotā rahā huuñ maiñ
kyā ye jagah hai jis kī tamannā meñ aaj tak
din raat shahr shahr bhaTaktā phirā huuñ maiñ
mash.al-ba-dast ghūmte guzrī hai ek umr
ab kis ke intizār meñ Thahrā huā huuñ maiñ